Me Chalti Rahi...
Me chalti rahi
Nanhe Nanhe kadmo se me chalti rahi.
Me baba ki shehzadi ban ke rehti rahi
Meri kilkilahat se ghar jhum uthta
Mano sakh pe koi parindha bol uthta
Kabhi kisi sakh pe kabhi kisi ghul pe
Is tarha me apne baba ka aangan mehkati rahi
Me chalti rahi.
Phir rashm duniya ki puri karne
Aaya koi shehzada mujhe lene
Aangan se dur hote hue me roti rahi
Ammi baba ki judai me tadpati rahi
Me chalati rahi.
Ab ghar Naya tha log naye the
Mujhe is ghar ko apni duniya banani thi
Nit naye khwab bunti rahi ,me apna bagh sajati rahi
Me chalti rahi
Par haye meri kismat ko ye gawara na hua
Khile hue bhag ki shehzadi ek phool ko tarasti rahi
Me chalti rahi
Din rat roti rahi ,sab ki sunti rahi
Dil tar tar kar ke me khun ke aansu roti rahi
Me chalti rahi.
Sab kuch loota ke bhi hasti rahi
Wafa ki sari hade par karti rahi.
Me chalti rahi
Dil behlane ke liye me apne dil se jujati rahi
Ek khusi pane ke liye me dar b dar bhatkati rahi
Me chalti rahi.
Phir uthe kale badal,me ujale ko taras gai
Meri masoom aankhe sadme se bars gai
Me chalati rahi
Me zikr he Khuda bando se nahi koi garz
Me apna aap ko sabr ke sanche me dhalti rahi
Me chalati rahi,me chalati rahi
Comments
Post a Comment